sar-e-taslim mera KHam nahin hone deta
sar-e-taslīm mirā ḳham nahīñ hone detā
vo mirā rab mujhe barham nahīñ hone detā
ġhaib se aaj bhī kartā hai hifāzat merī
sar nigūñ vo mirā parcham nahīñ hone detā
jab bhī miltā hai mujhe zaḳhm nayā detā hai
vo mulāqāt ko marham nahīñ hone detā
sher kahne kā vo andāz milā hai mujh ko
josh-e-mahfil mujhe maddham nahīñ hone detā
ab to darbār meñ bhī zikr hamārā hai 'suhaib'
kyā ajab shaḳhs hai sar ḳham nahīñ hone detā
sar-e-taslim mera KHam nahin hone deta
wo mera rab mujhe barham nahin hone deta
ghaib se aaj bhi karta hai hifazat meri
sar nigun wo mera parcham nahin hone deta
jab bhi milta hai mujhe zaKHm naya deta hai
wo mulaqat ko marham nahin hone deta
sher kahne ka wo andaz mila hai mujh ko
josh-e-mahfil mujhe maddham nahin hone deta
ab to darbar mein bhi zikr hamara hai 'suhaib'
kya ajab shaKHs hai sar KHam nahin hone deta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.