sar-girani thi shadmani thi
sar-girānī thī shādmānī thī
mehrbānī thī bad-gumānī thī
zindagī ne use sunā hī nahīñ
ārzūoñ kī jo kahānī thī
raat biitī jo shāh-rāhoñ par
kyā batā.eñ kahāñ bitānī thī
tabsira zindagī pe kyā karte
baḌī uljhī huī kahānī thī
tujh se bichhḌe to apne paas rahe
bas adhūrī sī zindagānī thī
is tarah kis ko pyaas hotī hai
pyaas aisī thī pyaas paanī thī
jo bhī guzrī guzar ga.ī 'shabnam'
kuchh haqīqat thī kuchh kahānī thī
sar-girani thi shadmani thi
mehrbani thi bad-gumani thi
zindagi ne use suna hi nahin
aarzuon ki jo kahani thi
raat biti jo shah-rahon par
kya bataen kahan bitani thi
tabsira zindagi pe kya karte
baDi uljhi hui kahani thi
tujh se bichhDe to apne pas rahe
bas adhuri si zindagani thi
is tarah kis ko pyas hoti hai
pyas aisi thi pyas pani thi
jo bhi guzri guzar gai 'shabnam'
kuchh haqiqat thi kuchh kahani thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.