sar jhukae hue darbar mein dekha gaya hai
sar jhukā.e hue darbār meñ dekhā gayā hai
kal tujhe ik na.e kirdār meñ dekhā gayā hai
jis se milne ke liye vaqt liyā jaatā thā
aaj us ko saf-e-lāchār meñ dekhā gayā hai
log ab haath milāte hue bhī Darte haiñ
ḳhauf itnā kabhī sansār meñ dekhā gayā hai
aur bhī log mire saath khaḌe the lekin
'aib to bas mire kirdār meñ dekhā gayā hai
dukh jise mere nahīñ jītne kā honā thā
us ko ḳhush hote mirī haar meñ dekhā gayā hai
sar jhukae hue darbar mein dekha gaya hai
kal tujhe ek nae kirdar mein dekha gaya hai
jis se milne ke liye waqt liya jata tha
aaj us ko saf-e-lachaar mein dekha gaya hai
log ab hath milate hue bhi Darte hain
KHauf itna kabhi sansar mein dekha gaya hai
aur bhi log mere sath khaDe the lekin
'aib to bas mere kirdar mein dekha gaya hai
dukh jise mere nahin jitne ka hona tha
us ko KHush hote meri haar mein dekha gaya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.