sar kabhi gardan kabhi ruKHsar sahlata raha
sar kabhī gardan kabhī ruḳhsār sahlātā rahā
ek hī jhoñkā palaT kar baar baar aatā rahā
phuul par baiThī huī titlī achānak uḌ ga.ī
ye ḳhazāna āḳhir apne haath se jaatā rahā
sham.a kī lau par havā ne hoñT apne rakh diye
vajd meñ aa kar dhuāñ tā-der lahrātā rahā
is tamannā meñ ki ahl-e-dil mujhe tujh sā kaheñ
terā ik ik rañg ik ik Dhañg apnātā rahā
yuuñ ki dohrī zindagī jiine kī aadat thī mujhe
ḳhud ko siine se lagātā aur Thukrātā rahā
dar darīche band aur āñkheñ khulī rakhte hue
maiñ bhare ghar meñ gum apne aap ko paatā rahā
sar kabhi gardan kabhi ruKHsar sahlata raha
ek hi jhonka palaT kar bar bar aata raha
phul par baiThi hui titli achanak uD gai
ye KHazana aaKHir apne hath se jata raha
shama ki lau par hawa ne honT apne rakh diye
wajd mein aa kar dhuan ta-der lahraata raha
is tamanna mein ki ahl-e-dil mujhe tujh sa kahen
tera ek ek rang ek ek Dhang apnata raha
yun ki dohri zindagi jine ki aadat thi mujhe
KHud ko sine se lagata aur Thukraata raha
dar dariche band aur aankhen khuli rakhte hue
main bhare ghar mein gum apne aap ko pata raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.