sar-kashi wusat-o-pahnai tak
sar-kashī vus.at-o-pahnā.ī tak
qurbateñ sirf pazīrā.ī tak
sat.h-dar-sat.h badan raushan hai
kaun pahuñchā tirī ra.anā.ī tak
talchhateñ tairtī haiñ sīmābī
dhuup kī yūrisheñ bīnā.ī tak
pau phaTī raat magar āñkhoñ meñ
silvaTeñ zaat kī gahrā.ī tak
shaam ḳhushbueñ nasha aur naġhma
aur phir kho ga.ī bīnā.ī tak
sar-kashi wusat-o-pahnai tak
qurbaten sirf pazirai tak
sath-dar-sath badan raushan hai
kaun pahuncha teri ranai tak
talchhaten tairti hain simabi
dhup ki yurishen binai tak
pau phaTi raat magar aankhon mein
silwaTen zat ki gahrai tak
sham KHushbuen nasha aur naghma
aur phir kho gai binai tak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.