sar ko bachate ya dar-o-diwar bechte
sar ko bachāte yā dar-o-dīvār bechte
sar kī hifāzatoñ meñ kyā dastār bechte
shohrat ke mol ḳhuub lage shahr meñ magar
ham mohtaram kahāñ the jo kirdār bechte
is kāñptī zamīn ne sab ḳhaak kar diyā
varna ham ārzuoñ ke mīnār bechte
hotā jo iḳhtiyār mire haath meñ to phir
baste ḳharīd laate ye hathiyār bechte
qānūn ko jo 'sīmā' samajh lete aaj ham
to bhuuk aur jahl ke āzār bechte
sar ko bachate ya dar-o-diwar bechte
sar ki hifazaton mein kya dastar bechte
shohrat ke mol KHub lage shahr mein magar
hum mohtaram kahan the jo kirdar bechte
is kanpti zamin ne sab KHak kar diya
warna hum aarzuon ke minar bechte
hota jo iKHtiyar mere hath mein to phir
baste KHarid late ye hathiyar bechte
qanun ko jo 'sima' samajh lete aaj hum
to bhuk aur jahl ke aazar bechte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.