sar ko hua hai phir wahi sauda-e-zindagi
sar ko huā hai phir vahī saudā-e-zindagī
goyā hai terī yaad masīhā-e-zindagī
kyoñ dam-ba-dam fuzūñ hai tamannā-e-zindagī
shāyad ki ġham huā hai shanāsā-e-zindagī
kartā phir un se kaun taqāzā-e-zindagī
bas ik nazar meñ ho gayā saudā-e-zindagī
ab kis liye ho mujh ko tamanā-e-zindagī
jab tū nahīñ to hech hai duniyā-e-zindagī
vo gardish-e-mudām se ghabrā na jaa.e kyoñ
jis kī umīd-o-bīm meñ kaT jaa.e zindagī
shah pā ke chashm-e-mast kī piinā paḌī mujhe
har-chand tund-o-talḳh thī sahbā-e-zindagī
vo to uḌā ke le ga.ī mujh ko havā-e-shauq
nā-qābil-e-ubūr thā sahrā-e-zindagī
parvāna kar ke himmat-e-mardāna jal-bujhe
phir kyoñ na aisī maut se sharmā.e zindagī
be-ās kar ke chhoḌ ga.ī aarzū to phir
rāhat-fazā-e-ġham huī īzā-e-zindagī
dil meñ vufūr-e-shauq kā tūfāñ liye hue
pī kar chalā huuñ bazm se sahbā-e-zindagī
ab be-kasān-e-shauq kī majbūriyāñ na pūchh
thī munhasir umiid pe ihyā-e-zindagī
ai jabr-e-husn dekh mire bas meñ kyā nahīñ
duniyā ke ġham haiñ aaj muhayyā-e-zindagī
har shauq pā.emāl hai har aarzū tabāh
ab kiije kis umiid pe da.avā-e-zindagī
'sāhir' na jis ko jaur-e-zamāna miTā sakā
vo sharmsār-e-marg huuñ rusvā-e-zindagī
sar ko hua hai phir wahi sauda-e-zindagi
goya hai teri yaad masiha-e-zindagi
kyon dam-ba-dam fuzun hai tamanna-e-zindagi
shayad ki gham hua hai shanasa-e-zindagi
karta phir un se kaun taqaza-e-zindagi
bas ek nazar mein ho gaya sauda-e-zindagi
ab kis liye ho mujh ko tamana-e-zindagi
jab tu nahin to hech hai duniya-e-zindagi
wo gardish-e-mudam se ghabra na jae kyon
jis ki umid-o-bim mein kaT jae zindagi
shah pa ke chashm-e-mast ki pina paDi mujhe
har-chand tund-o-talKH thi sahba-e-zindagi
wo to uDa ke le gai mujh ko hawa-e-shauq
na-qabil-e-ubur tha sahra-e-zindagi
parwana kar ke himmat-e-mardana jal-bujhe
phir kyon na aisi maut se sharmae zindagi
be-as kar ke chhoD gai aarzu to phir
rahat-faza-e-gham hui iza-e-zindagi
dil mein wufur-e-shauq ka tufan liye hue
pi kar chala hun bazm se sahba-e-zindagi
ab be-kasan-e-shauq ki majburiyan na puchh
thi munhasir umid pe ihya-e-zindagi
ai jabr-e-husn dekh mere bas mein kya nahin
duniya ke gham hain aaj muhayya-e-zindagi
har shauq paemal hai har aarzu tabah
ab kije kis umid pe dawa-e-zindagi
'sahir' na jis ko jaur-e-zamana miTa saka
wo sharmsar-e-marg hun ruswa-e-zindagi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.