sar-mast-e-mai ko dekh ke mat su-e-jam dekh
sar-mast-e-mai ko dekh ke mat sū-e-jām dekh
saaqī pilā usī ko jise tishna-kām dekh
ishve tire haiñ ḳhuub magar ai urūs-e-dahr
jo tujh se be-niyāz haiñ un kā maqām dekh
afzūnī-e-jamāl kā baa.is hai fāsla
farsh-e-zamīñ se jalva-e-māh-e-tamām dekh
kuchh kah rahī haiñ tujh se sitāroñ kī chashmakeñ
chashm-e-yaqīñ se jalva-e-nairang-e-shām dekh
nazzara-e-jahāñ se na de dil ko dāġh-e-rashk
ibrat kī aañkh se ye tamāshā-e-ām dekh
gūñjā kiye kabhī jo navā-hā-e-aish se
kis haal meñ haiñ vo dar-o-dīvār-o-bām dekh
hamdam muhāsba mire a.amāl kā na kar
us ko ḳhudā pe chhoḌ ke merā kalām dekh
sar-mast-e-mai ko dekh ke mat su-e-jam dekh
saqi pila usi ko jise tishna-kaam dekh
ishwe tere hain KHub magar ai urus-e-dahr
jo tujh se be-niyaz hain un ka maqam dekh
afzuni-e-jamal ka bais hai fasla
farsh-e-zamin se jalwa-e-mah-e-tamam dekh
kuchh kah rahi hain tujh se sitaron ki chashmaken
chashm-e-yaqin se jalwa-e-nairang-e-sham dekh
nazzara-e-jahan se na de dil ko dagh-e-rashk
ibrat ki aankh se ye tamasha-e-am dekh
gunja kiye kabhi jo nawa-ha-e-aish se
kis haal mein hain wo dar-o-diwar-o-baam dekh
hamdam muhasba mere aamal ka na kar
us ko KHuda pe chhoD ke mera kalam dekh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.