sar-mast-e-sharab-e-shauq hai dil
sar-mast-e-sharāb-e-shauq hai dil
yā ḳhud hama-tan hai jām-e-mai dil
bujhtī hī nahīñ hai pyaas is kī
itnā bhī na ho ḳharāb-e-mai dil
husn-e-ruḳh-e-yār se ayaañ hai
sab terā jamāl-e-shauq ai dil
jis ko na tirī talab ho pyāre
aisā bhī jahāñ meñ koī hai dil
kyā aisī paḌī hai is pe uftād
bezār jo zindagī se hai dil
kisī ke ġham-e-hijr meñ shab-o-roz
sar-gashta-o-be-qarār hai dil
kis sāqī-e-māh-vash se chhuT kar
hai jast meñ misl-e-mauj-e-mai dil
kis mutrib-e-ḳhush-navā ke ġham meñ
fariyād-kunāñ hai misl-e-nai dil
ik haal pe misl-e-tab.a-e-jānāñ
tujh ko bhī nahīñ qarār ai dil
ab vasl meñ hijr kī havas hai
hai tū bhī ġharaz ajiib shai dil
hai tere sivā 'jalīl' kā kaun
ai yār-e-vafā-shi.ār ai dil
sar-mast-e-sharab-e-shauq hai dil
ya KHud hama-tan hai jam-e-mai dil
bujhti hi nahin hai pyas is ki
itna bhi na ho KHarab-e-mai dil
husn-e-ruKH-e-yar se ayan hai
sab tera jamal-e-shauq ai dil
jis ko na teri talab ho pyare
aisa bhi jahan mein koi hai dil
kya aisi paDi hai is pe uftad
bezar jo zindagi se hai dil
kisi ke gham-e-hijr mein shab-o-roz
sar-gashta-o-be-qarar hai dil
kis saqi-e-mah-wash se chhuT kar
hai jast mein misl-e-mauj-e-mai dil
kis mutrib-e-KHush-nawa ke gham mein
fariyaad-kunan hai misl-e-nai dil
ek haal pe misl-e-taba-e-jaanan
tujh ko bhi nahin qarar ai dil
ab wasl mein hijr ki hawas hai
hai tu bhi gharaz ajib shai dil
hai tere siwa 'jalil' ka kaun
ai yar-e-wafa-shiar ai dil
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.