sar mein ek sauda tha baam-o-dar banane ka
sar meñ ek saudā thā bām-o-dar banāne kā
aaj tak nahīñ sochā ham ne ghar banāne kā
yuuñ na reñgtī rahtīñ kāġhazoñ pe tasvīreñ
vaqt jo milā hotā bāl-o-par banāne kā
yuuñ kahāñ bhaTakte ham ḳhvāhishoñ ke sahrā meñ
fan agar hameñ aatā māl-o-zar banāne kā
chal diye akele hī justujū-e-manzil meñ
kaam ḳhāsā mushkil thā ham-safar banāne kā
ye hunar bhī āḳhir ko us ne siikh kar chhoḌā
ham se hosh-mandoñ ko be-ḳhabar banāne kā
ek shauq aisā bhī ham ne paal rakkhā hai
be-viqār logoñ ko mo'atabar banāne kā
sar mein ek sauda tha baam-o-dar banane ka
aaj tak nahin socha hum ne ghar banane ka
yun na rengti rahtin kaghazon pe taswiren
waqt jo mila hota baal-o-par banane ka
yun kahan bhaTakte hum KHwahishon ke sahra mein
fan agar hamein aata mal-o-zar banane ka
chal diye akele hi justuju-e-manzil mein
kaam KHasa mushkil tha ham-safar banane ka
ye hunar bhi aaKHir ko us ne sikh kar chhoDa
hum se hosh-mandon ko be-KHabar banane ka
ek shauq aisa bhi hum ne pal rakkha hai
be-wiqar logon ko mo'atabar banane ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.