sar mein sauda-e-wafa rakhte hain
sar meñ saudā-e-vafā rakhte haiñ
ham bhī is 'ahd meñ kyā rakhte haiñ
vāsta jis kā tire ġham se na ho
ham vo har kaam uThā rakhte haiñ
bin khilī ek kalī pahlū meñ
ham bhī ai bād-e-sabā rakhte haiñ
but-kade vaalo tumheñ kuchh bolo
vo to chup haiñ jo ḳhudā rakhte haiñ
ġhairat-e-ishq koī raah nikāl
zulm vo sab pe ravā rakhte haiñ
kyā salīqa hai sitamgārī kā
ruḳh pe dāmān-e-hayā rakhte haiñ
chāra-sāzān-e-zamāna ai dil
zahr dete haiñ davā rakhte haiñ
naġhma-e-shauq ho yā nāla-e-dil
dard-mandāna sadā rakhte haiñ
dil kī tā'mīr ko Dhā kar 'aḳhtar'
vo mohabbat kī binā rakhte haiñ
sar mein sauda-e-wafa rakhte hain
hum bhi is 'ahd mein kya rakhte hain
wasta jis ka tere gham se na ho
hum wo har kaam uTha rakhte hain
bin khili ek kali pahlu mein
hum bhi ai baad-e-saba rakhte hain
but-kade walo tumhein kuchh bolo
wo to chup hain jo KHuda rakhte hain
ghairat-e-ishq koi rah nikal
zulm wo sab pe rawa rakhte hain
kya saliqa hai sitamgari ka
ruKH pe daman-e-haya rakhte hain
chaara-sazan-e-zamana ai dil
zahr dete hain dawa rakhte hain
naghma-e-shauq ho ya nala-e-dil
dard-mandana sada rakhte hain
dil ki ta'mir ko Dha kar 'aKHtar'
wo mohabbat ki bina rakhte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.