sar mein sauda koi baqi na junun hai yun hai
sar meñ saudā koī baaqī na junūñ hai yuuñ hai
ab to ārām hai rāhat haiñ sukūñ hai yuuñ hai
us se milne ke bahāne to bahut haiñ lekin
us se milnā mire pindār kā ḳhuuñ hai yuuñ hai
nāsehā tujh ko ḳhabar sab hai mohabbat kyā hai
varna yūñhī nahīñ samjhā thā ki yuuñ hai yuuñ hai
ham haiñ muhtāj har ik kaam ke karne meñ yahāñ
rab kā har kaam faqat kun-fayakūñ hai yuuñ hai
kitnī raġhbat thī tirī yaad se pahle mujh ko
aur tirī yaad bhī ab kār-zabūñ hai yuuñ hai
phir vahī kal kī tarah der se ghar aaoge
phir vahī uzr batāoge ki yuuñ hai yuuñ hai
pahle kuchh baat bhī ho jaatī thī us se 'qādir'
aur ab us se mirī haañ hai na huuñ hai yuuñ hai
sar mein sauda koi baqi na junun hai yun hai
ab to aaram hai rahat hain sukun hai yun hai
us se milne ke bahane to bahut hain lekin
us se milna mere pindar ka KHun hai yun hai
naseha tujh ko KHabar sab hai mohabbat kya hai
warna yunhi nahin samjha tha ki yun hai yun hai
hum hain muhtaj har ek kaam ke karne mein yahan
rab ka har kaam faqat kun-fayakun hai yun hai
kitni raghbat thi teri yaad se pahle mujh ko
aur teri yaad bhi ab kar-zabun hai yun hai
phir wahi kal ki tarah der se ghar aaoge
phir wahi uzr bataoge ki yun hai yun hai
pahle kuchh baat bhi ho jati thi us se 'qadir'
aur ab us se meri han hai na hun hai yun hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.