sar-nigun kar hi diya zauq-e-jabin-sai ne
sar-nigūñ kar hī diyā zauq-e-jabīñ-sā.ī ne
naḳhvat-e-ishq miTā dī tirī yaktā.ī ne
hosh idrāk se begāna banā kar ik baar
koī karvaT hī na badlī tirī añgḌā.ī ne
ban gayā be-ḳhud-e-nazzāra ba-alfāz-e-digar
laaj rakh lī tire jalvoñ kī tamāshā.ī ne
muḳhtasar ek to vaise hī na thī qaid-e-hayāt
aur mī'ād baḌhā dī shab-e-tanhā.ī ne
qadr hone lagī arbāb-e-mohabbat meñ 'shakīl'
mujh ko insān banāyā mirī rusvā.ī ne
sar-nigun kar hi diya zauq-e-jabin-sai ne
naKHwat-e-ishq miTa di teri yaktai ne
hosh idrak se begana bana kar ek bar
koi karwaT hi na badli teri angDai ne
ban gaya be-KHud-e-nazzara ba-alfaz-e-digar
laj rakh li tere jalwon ki tamashai ne
muKHtasar ek to waise hi na thi qaid-e-hayat
aur mi'ad baDha di shab-e-tanhai ne
qadr hone lagi arbab-e-mohabbat mein 'shakil'
mujh ko insan banaya meri ruswai ne
- Book : Kulliyat-e-Shakiil Badaayuuni (Pg. 136)
- Author : Shakiil Badaayuuni
- Publication : Farid Book Depot (Pvt.) Ltd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.