sar-nigun sara jahan hai mamta ke samne
sar-nigūñ saarā jahāñ hai māmtā ke sāmne
bad-duā meñ hai duā us kī duā ke sāmne
maiñ tumhāre sāmne is vāste ḳhāmosh huuñ
faisla ho jā.egā ik din ḳhudā ke sāmne
izzat-o-shohrat mohabbat se ye dāman bhar gayā
shukr ke sajde karūñ rab kī atā ke sāmne
kar chukī hai ab jahāñ-ārā 'tabassum' hausla
rakh diyā hai ab diyā lā kar havā ke sāmne
kis qadar zālim hai ye duniyā ta.ajjub hai mujhe
bevafā kahtī hai mujh ko bevafā ke sāmne
aisā lagtā hai ki mahfil muskurāne lag ga.ī
aa ke jab vo baiThtā hai muskurā ke sāmne
ek maiñ huuñ aur ik dhak dhak dhaḌaktā dil mirā
ġhair ko taktā hai vo mujh ko biThā ke sāmne
yaar nazroñ se pare thā aa.ina bhī thā pare
saj-sañvar ke aa ga.ī jān-e-adā ke sāmne
kyā kahūñ kaise kahūñ kis se kahūñ aur kyuuñ kahūñ
sochtī huuñ chup rahūñ us nāḳhudā ke sāmne
aaj nazroñ se milīñ nazreñ to vo kahne lagā
phir se kyuuñ tum aa ga.ī ho muskurā ke sāmne
pahle us ne kyā kahā phir kyā kahā phir kyā kahā
merā tū ne ḳhat rakhā jab dilrubā ke sāmne
in añdheroñ se na ghabrā tū ki tere vāste
maiñ ne apnā rakh diyā hai dil jalā ke sāmne
lafz bārish kī tarah mujh par baraste jaa.eñ phir
sher jab kahne lagūñ us ko biThā ke sāmne
jab talak duniyā meñ kāġhaz aur qalam maujūd haiñ
bā-vafā likhtī rahūñgī bevafā ke sāmne
kyuuñ tirā pyārā 'tabassum' aaj phīkā paḌ gayā
haar kyuuñ maanī hai tū ne phir jafā ke sāmne
sar-nigun sara jahan hai mamta ke samne
bad-dua mein hai dua us ki dua ke samne
main tumhaare samne is waste KHamosh hun
faisla ho jaega ek din KHuda ke samne
izzat-o-shohrat mohabbat se ye daman bhar gaya
shukr ke sajde karun rab ki ata ke samne
kar chuki hai ab jahan-ara 'tabassum' hausla
rakh diya hai ab diya la kar hawa ke samne
kis qadar zalim hai ye duniya tajjub hai mujhe
bewafa kahti hai mujh ko bewafa ke samne
aisa lagta hai ki mahfil muskurane lag gai
aa ke jab wo baiThta hai muskura ke samne
ek main hun aur ek dhak dhak dhaDakta dil mera
ghair ko takta hai wo mujh ko biTha ke samne
yar nazron se pare tha aaina bhi tha pare
saj-sanwar ke aa gai jaan-e-ada ke samne
kya kahun kaise kahun kis se kahun aur kyun kahun
sochti hun chup rahun us naKHuda ke samne
aaj nazron se milin nazren to wo kahne laga
phir se kyun tum aa gai ho muskura ke samne
pahle us ne kya kaha phir kya kaha phir kya kaha
mera tu ne KHat rakha jab dilruba ke samne
in andheron se na ghabra tu ki tere waste
main ne apna rakh diya hai dil jala ke samne
lafz barish ki tarah mujh par baraste jaen phir
sher jab kahne lagun us ko biTha ke samne
jab talak duniya mein kaghaz aur qalam maujud hain
ba-wafa likhti rahungi bewafa ke samne
kyun tera pyara 'tabassum' aaj phika paD gaya
haar kyun mani hai tu ne phir jafa ke samne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.