sar-o-gardan ki judai dekho
sar-o-gardan ki judai dekho
Mirza Altaf Husain Alim Lucknowi
MORE BYMirza Altaf Husain Alim Lucknowi
sar-o-gardan kī judā.ī dekho
teġh-e-qātil kī safā.ī dekho
teġh lachkā ke uThā.ī dekho
na muḌak jaa.e kalā.ī dekho
mujh se kahtā hai lahū mal ke mirā
ye mire dast-e-hinā.ī dekho
mahfil-e-yār talak pahuñchāyā
merī qismat kī rasā.ī dekho
TuuT jaa.e na hamārī tauba
phir ghaTā charḳh pe chhā.ī dekho
maiñ kahāñ aur kahāñ rif.at-e-arsh
magar aahoñ kī rasā.ī dekho
kyuuñ bigaḌte ho kisī se 'ālim'
apnī qismat kī burā.ī dekho
sar-o-gardan ki judai dekho
tegh-e-qatil ki safai dekho
tegh lachka ke uThai dekho
na muDak jae kalai dekho
mujh se kahta hai lahu mal ke mera
ye mere dast-e-hinai dekho
mahfil-e-yar talak pahunchaya
meri qismat ki rasai dekho
TuT jae na hamari tauba
phir ghaTa charKH pe chhai dekho
main kahan aur kahan rifat-e-arsh
magar aahon ki rasai dekho
kyun bigaDte ho kisi se 'alim'
apni qismat ki burai dekho
- Book : Intekhab-e-Kuliyat Aalim Lucknowi (Pg. 289)
- Author : Mirza Mohammad Yousuf
- Publication : M. R. Publication (2010)
- Edition : 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.