sar par hai saeban na tan par libas hai
sar par hai sā.ebān na tan par libās hai
ik sikka-e-ḳhulūs hī le de ke paas hai
jaa.eñ bhī apne zaḳhm liye kis ke paas ham
marham munāfiqat kā yaañ sab ke paas hai
nafrat kī aag phailne paa.e na dosto
bārūd hai kahīñ to kahīñ par kapās hai
dīda-varī ke zo.am meñ sab mahv-e-ḳhvāb haiñ
shāyad yahī sabab hai ki nargis udaas hai
aatā nahīñ yaqīn ki tum is sadī meñ ho
'ashraf' tumhāre lahje meñ ab tak miThās hai
sar par hai saeban na tan par libas hai
ek sikka-e-KHulus hi le de ke pas hai
jaen bhi apne zaKHm liye kis ke pas hum
marham munafiqat ka yan sab ke pas hai
nafrat ki aag phailne pae na dosto
barud hai kahin to kahin par kapas hai
dida-wari ke zoam mein sab mahw-e-KHwab hain
shayad yahi sabab hai ki nargis udas hai
aata nahin yaqin ki tum is sadi mein ho
'ashraf' tumhaare lahje mein ab tak miThas hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.