sar par hamare saya-e-diwar bhi nahin
sar par hamāre sāya-e-dīvār bhī nahīñ
sūraj sā ham faqīroñ kā ghar-bār bhī nahīñ
mujh se ta.alluqāt kā iqrār bhī nahīñ
aur koī pūchhtā hai to inkār bhī nahīñ
gahrā.ī us nadī kī bhalā kyā patā lage
jis meñ bhañvar nahīñ koī mañjhdār bhī nahīñ
jis ko tamām umr amal meñ na lā sake
aisī vo raa.e dene kā haqdār bhī nahīñ
sāñsoñ kī Dor thāme chalī jā rahī hai umr
varna kisī se koī sarokār bhī nahīñ
sar par hamare saya-e-diwar bhi nahin
suraj sa hum faqiron ka ghar-bar bhi nahin
mujh se talluqat ka iqrar bhi nahin
aur koi puchhta hai to inkar bhi nahin
gahrai us nadi ki bhala kya pata lage
jis mein bhanwar nahin koi manjhdar bhi nahin
jis ko tamam umr amal mein na la sake
aisi wo rae dene ka haqdar bhi nahin
sanson ki Dor thame chali ja rahi hai umr
warna kisi se koi sarokar bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.