Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sar par mere umr-bhar rahi dhup

Azhar Saeed

sar par mere umr-bhar rahi dhup

Azhar Saeed

MORE BYAzhar Saeed

    sar par mire umr-bhar rahī dhuup

    jis samt chalā udhar chalī dhuup

    kam aisī vatan meñ bhī na thī dhuup

    ġhurbat meñ balā-e-jāñ banī dhuup

    maañ hai na yahāñ shajar hai koī

    tā-hadd-e-nigāh dhuup dhuup

    barsoñ se laTak rahī hai sar par

    ḳhanjar tarah khiñchī huī dhuup

    yādoñ ke nihāñ-kade meñ chamkī

    titlī ke paroñ pe nāchtī dhuup

    ik ruup ke naam an-ginat haiñ

    bijlī barsāt chāñdnī dhuup

    qaa.em raheñ tere zulf-o-āriz

    saaya merā yahī yahī dhuup

    sar par mere umr-bhar rahi dhup

    jis samt chala udhar chali dhup

    kam aisi watan mein bhi na thi dhup

    ghurbat mein bala-e-jaan bani dhup

    man hai na yahan shajar hai koi

    ta-hadd-e-nigah dhup hi dhup

    barson se laTak rahi hai sar par

    KHanjar ki tarah khinchi hui dhup

    yaadon ke nihan-kade mein chamki

    titli ke paron pe nachti dhup

    ek rup ke nam an-ginat hain

    bijli barsat chandni dhup

    qaem rahen tere zulf-o-ariz

    saya mera yahi yahi dhup

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now