sar paTakti rahi dasht-e-gham ki hawa unki yaadon ke jhonke bhi chalte rahe
sar paTakti rahi dasht-e-gham ki hawa unki yaadon ke jhonke bhi chalte rahe
Hami Gorakhpuri
MORE BYHami Gorakhpuri
sar paTaktī rahī dasht-e-ġham kī havā un kī yādoñ ke jhoñke bhī chalte rahe
shaam se tā-sahar ghar kī dahlīz par ham charāġhoñ kī mānind jalte rahe
husn kī dhuup ne zulf kī chhāñv ne nuur ke shahr ne rang ke gaañv ne
har qadam par Thaharne ko āvāz dī ham ko chalnā thā kāñToñ pe chalte rahe
shahr ke moḌ par kal mile the mujhe mere bachpan ke din mere bachpan kī shab
gaahe āñkheñ milīñ gaahe palkeñ jhukīñ gaahe rukte rahe gaahe chalte rahe
kaunsā naam deñ aisī barsāt ko jis ke dāman meñ paanī bhī hai aag bhī
huuk uThtī rahī ruuh jaltī rahī dil pighaltā rahā ashk Dhalte rahe
ek manzil nahīñ ek rasta nahīñ ek dil ek jaañ ek chehra nahīñ
ye naqāboñ kī duniyā ke bahrūpiye bhes lamha-ba-lamha badalte rahe
shahr-dar-shahr ye ḳhāk-o-ḳhūñ kī fazā sochī-samjhī huī ek tahrīk hai
ūñche mahloñ meñ baiThe rahe ahl-e-zar muflisoñ ke makānāt jalte rahe
sar paTakti rahi dasht-e-gham ki hawa un ki yaadon ke jhonke bhi chalte rahe
sham se ta-sahar ghar ki dahliz par hum charaghon ki manind jalte rahe
husn ki dhup ne zulf ki chhanw ne nur ke shahr ne rang ke ganw ne
har qadam par Thaharne ko aawaz di hum ko chalna tha kanTon pe chalte rahe
shahr ke moD par kal mile the mujhe mere bachpan ke din mere bachpan ki shab
gahe aankhen milin gahe palken jhukin gahe rukte rahe gahe chalte rahe
kaunsa nam den aisi barsat ko jis ke daman mein pani bhi hai aag bhi
huk uThti rahi ruh jalti rahi dil pighalta raha ashk Dhalte rahe
ek manzil nahin ek rasta nahin ek dil ek jaan ek chehra nahin
ye naqabon ki duniya ke bahrupiye bhes lamha-ba-lamha badalte rahe
shahr-dar-shahr ye KHak-o-KHun ki faza sochi-samjhi hui ek tahrik hai
unche mahlon mein baiThe rahe ahl-e-zar muflison ke makanat jalte rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.