sar pe aai jo aafat wo Tal hi gai
sar pe aa.ī jo aafat vo Tal hī ga.ī
zindagī ranj-o-ġham se nikal hī ga.ī
laakh mohtāt the dīda-o-dil se ham
phir bhī un kī nazar chaal chal hī ga.ī
umr bhar ham rahe ġham se dāman-kashāñ
zindagī aap ke ġham meñ Dhal hī ga.ī
raaz rakkhā mohabbat ke har raaz ko
phir bhī ye baat muñh se nikal hī ga.ī
chārasāzoñ ke altāf kā shukriya
zindagī ġham ke ġhunchoñ meñ Dhal hī ga.ī
aap ne laakh us ko na chāhā magar
anjuman meñ mirī baat chal hī ga.ī
lākhoñ ham ne kiyā zabt-e-dil par magar
un ko dekhā tabī.at machal hī ga.ī
jab bhī 'āsī' mujhe vo mile raah meñ
dekh kar ham ko ye duniyā jal hī ga.ī
sar pe aai jo aafat wo Tal hi gai
zindagi ranj-o-gham se nikal hi gai
lakh mohtat the dida-o-dil se hum
phir bhi un ki nazar chaal chal hi gai
umr bhar hum rahe gham se daman-kashan
zindagi aap ke gham mein Dhal hi gai
raaz rakkha mohabbat ke har raaz ko
phir bhi ye baat munh se nikal hi gai
chaarasazon ke altaf ka shukriya
zindagi gham ke ghunchon mein Dhal hi gai
aap ne lakh us ko na chaha magar
anjuman mein meri baat chal hi gai
lakhon hum ne kiya zabt-e-dil par magar
un ko dekha tabiat machal hi gai
jab bhi 'asi' mujhe wo mile rah mein
dekh kar hum ko ye duniya jal hi gai
- Book : زندگی کے مارے لوگ (Pg. 85)
- Author : ودیا رتن آسی
- Publication : چیتن پرکاشن،پنجابی بھون،لدھیانہ (2017)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.