sar pe bandha hai yun kafan apna
sar pe bāñdhā hai yuuñ kafan apnā
hai pareshān gorkan apnā
ḳhushk paḌ hī gayā ye ġhuncha-e-sabz
Thīkrī ho gayā dahan apnā
dil meñ utrī haiñ yuuñ tirī yādeñ
bhar gayā jugnuoñ se ban apnā
ḳhaar phir jaatā hai rag-o-pai meñ
yuuñ patā detī hai chubhan apnā
is qadar ḳhaak uḌā na vahshat meñ
saaf rakh saaf pairahan apnā
sar pe bandha hai yun kafan apna
hai pareshan gorkan apna
KHushk paD hi gaya ye ghuncha-e-sabz
Thikri ho gaya dahan apna
dil mein utri hain yun teri yaaden
bhar gaya jugnuon se ban apna
KHar phir jata hai rag-o-pai mein
yun pata deti hai chubhan apna
is qadar KHak uDa na wahshat mein
saf rakh saf pairahan apna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.