sar pe chhat hai na saeban mere
sar pe chhat hai na sā.ebāñ mere
tū kahāñ par hai mehrbāñ mere
sañg chunñe kī mujh ko aadat hai
leak raste meñ āsmāñ mere
mujh ko tanhā.iyoñ ne maar diyā
tū bhī gūñjegā kyā makāñ mere
ishq meñ mo'atabar huā aise
qais ke saath haiñ nishāñ mere
iid kā din hai rasm-e-duniyā hai
lauT aa aaj bad-gumāñ mere
kaun ta.abīr un ko de 'dā.em'
ḳhvāb haiñ sab dhuāñ dhuāñ mere
sar pe chhat hai na saeban mere
tu kahan par hai mehrban mere
sang chunne ki mujh ko aadat hai
leak raste mein aasman mere
mujh ko tanhaiyon ne mar diya
tu bhi gunjega kya makan mere
ishq mein mo'atabar hua aise
qais ke sath hain nishan mere
id ka din hai rasm-e-duniya hai
lauT aa aaj bad-guman mere
kaun tabir un ko de 'daem'
KHwab hain sab dhuan dhuan mere
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.