sar pe dast-e-hawa hai sadiyon se
sar pe dast-e-havā hai sadiyoñ se
ġhaib kā aasrā hai sadiyoñ se
sirf do paañv aur vasī.a zamīñ
ye bhī ik mo.ajiza hai sadiyoñ se
hai kam-o-besh nīlgūñ har shai
dard kā silsila hai sadiyoñ se
jaise paanī havā havā paanī
mujh meñ tū mubtalā hai sadiyoñ se
sunñe vaalā ho koī to sun le
ishq naġhma-sarā hai sadiyoñ se
sar pe dast-e-hawa hai sadiyon se
ghaib ka aasra hai sadiyon se
sirf do panw aur wasia zamin
ye bhi ek moajiza hai sadiyon se
hai kam-o-besh nilgun har shai
dard ka silsila hai sadiyon se
jaise pani hawa hawa pani
mujh mein tu mubtala hai sadiyon se
sunne wala ho koi to sun le
ishq naghma-sara hai sadiyon se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.