sar pe ghar rakhna chalan hai apna
sar pe ghar rakhnā chalan hai apnā
dasht-e-ġhurbat hī vatan hai apnā
ruup anuup us kā hai rādhā rādhā
shyām sā sāñvalā-pan hai apnā
ḳhushbū ḳhushbū hai bayābān-e-hayāt
dard āhū-e-ḳhutan hai apnā
fasl-e-gul par hai ijāra ab ke
sabz-fām apnā chaman hai apnā
tark-e-bāda nahīñ ye husn-e-shi’ār
'ishq jiine kā chalan hai apnā
sar pe ghar rakhna chalan hai apna
dasht-e-ghurbat hi watan hai apna
rup anup us ka hai radha radha
shyam sa sanwala-pan hai apna
KHushbu KHushbu hai bayaban-e-hayat
dard aahu-e-KHutan hai apna
fasl-e-gul par hai ijara ab ke
sabz-fam apna chaman hai apna
tark-e-baada nahin ye husn-e-shi’ar
'ishq jine ka chalan hai apna
- Book : Jism Ka Bartan Sard Pada Hai (Pg. 44)
- Author : Ameer Hamza Saqib
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.