sar pe jis ke rida nahin hoti
sar pe jis ke ridā nahīñ hotī
vo zamīñ pārsā nahīñ hotī
nam to hotī hai aañkh bādal kī
ābdīda havā nahīñ hotī
ḳhvāhishoñ ke qusūr hote haiñ
aadmī se ḳhatā nahīñ hotī
sirf patthar gunāh karte haiñ
ā.inoñ se ḳhatā nahīñ hotī
iltijā tū agar nahīñ suntā
mere lab par duā nahīñ hotī
zindagī kī duā.eñ mat diije
is se baḌh kar sazā nahīñ hotī
ghar ke jalte hue charāġhoñ se
kyā sabab hai ziyā nahīñ hotī
tīrgī ke harīf mausam meñ
raushnī jā-ba-jā nahīñ hotī
sar pe jis ke rida nahin hoti
wo zamin parsa nahin hoti
nam to hoti hai aankh baadal ki
aabdida hawa nahin hoti
KHwahishon ke qusur hote hain
aadmi se KHata nahin hoti
sirf patthar gunah karte hain
aainon se KHata nahin hoti
iltija tu agar nahin sunta
mere lab par dua nahin hoti
zindagi ki duaen mat dije
is se baDh kar saza nahin hoti
ghar ke jalte hue charaghon se
kya sabab hai ziya nahin hoti
tirgi ke harif mausam mein
raushni ja-ba-ja nahin hoti
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.