sar pe mere bhi thi dastar-e-fazilat lekin
sar pe mere bhi thi dastar-e-fazilat lekin
Kausar Tasniim Supauli
MORE BYKausar Tasniim Supauli
sar pe mere bhī thī dastār-e-fazīlat lekin
mujh ko hāsil thī mire rab kī ma.iyyat lekin
ishq aaya to maiñ pāband nahīñ rah paayā
ishq se qabl thā pāband-e-sharī.at lekin
bevafā hogī tire ḳhuun kī harakat sāhab
ham ko hai hind ke zarre se aqīdat lekin
merī ġhazloñ meñ hai shāhīn mahaz ik chiḌiyā
ab bhī ik raaz hai shāhīñ kī haqīqat lekin
hai sadāqat ki hai kashmīr zamīñ kī jannat
ahl-e-kashmīr ko miltī hai aziyyat lekin
muntazir paak kī rāheñ thiiñ qadam-bosī ko
ham ne bhārat ko hī samjhā thā ġhanīmat lekin
shar-pasandoñ ko na raas aaya vatan kā dastūr
dar-haqīqat hai mire mulk kī zīnat lekin
chāhtā hai ki kare sher-o-suḳhan se tauba
us se 'tasnīm' kī miltī hai tabī.at lekin
sar pe mere bhi thi dastar-e-fazilat lekin
mujh ko hasil thi mere rab ki maiyyat lekin
ishq aaya to main paband nahin rah paya
ishq se qabl tha paband-e-shariat lekin
bewafa hogi tere KHun ki harakat sahab
hum ko hai hind ke zarre se aqidat lekin
meri ghazlon mein hai shahin mahaz ek chiDiya
ab bhi ek raaz hai shahin ki haqiqat lekin
hai sadaqat ki hai kashmir zamin ki jannat
ahl-e-kashmir ko milti hai aziyyat lekin
muntazir pak ki rahen thin qadam-bosi ko
hum ne bhaarat ko hi samjha tha ghanimat lekin
shar-pasandon ko na ras aaya watan ka dastur
dar-haqiqat hai mere mulk ki zinat lekin
chahta hai ki kare sher-o-suKHan se tauba
us se 'tasnim' ki milti hai tabiat lekin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.