sar pe sajne ko jo tayyar hai mere andar
sar pe sajne ko jo tayyār hai mere andar
gard-ālūd sī dastār hai mere andar
jis ke mar jaane kā ehsās banā rahtā hai
mujh se baḌh kar koī bīmār hai mere andar
roz ashkoñ kī na.ī fasl ugā detā hai
ek būḌhā sā zamīñdār hai mere andar
kitnā ghanghor añdherā hai mirī rag rag meñ
is qadar raushnī darkār hai mere andar
dab ke mar jā.ūñgā ik roz maiñ apne nīche
ek girtī huī dīvār hai mere andar
kaun detā hai ye har vaqt gavāhī merī
kaun ye merā taraf-dār hai mere andar
mere likkhe hue har lafz ko jhuTlātā hai
mujh se baḌh kar koī fankār hai mere andar
sar pe sajne ko jo tayyar hai mere andar
gard-alud si dastar hai mere andar
jis ke mar jaane ka ehsas bana rahta hai
mujh se baDh kar koi bimar hai mere andar
roz ashkon ki nai fasl uga deta hai
ek buDha sa zamindar hai mere andar
kitna ghanghor andhera hai meri rag rag mein
is qadar raushni darkar hai mere andar
dab ke mar jaunga ek roz main apne niche
ek girti hui diwar hai mere andar
kaun deta hai ye har waqt gawahi meri
kaun ye mera taraf-dar hai mere andar
mere likkhe hue har lafz ko jhuTlata hai
mujh se baDh kar koi fankar hai mere andar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.