sar pe sauda sawar karna tha
sar pe saudā savār karnā thā
ham ko bhī dasht paar karnā thā
pahle sūraj banāte ḳhud ko tum
phir añdheroñ pe vaar karnā thā
gar hunar the tumhāre hāthoñ meñ
sho.ala ko ābshār karnā thā
bādaloñ se yahī ġharaz thī hameñ
apnā saayā farār karnā thā
hijr meñ jaañ gañvāne vaale tujhe
aur kuchh intizār karnā thā
shauq se hī lagāv thā ham ko
shauq hī darkinār karnā thā
itnī vus.at kā kyā karegā vo
āsmāñ kā bichār karnā thā
maut kī sochte rahe 'saritā'
ziist ko yādgār karnā thā
sar pe sauda sawar karna tha
hum ko bhi dasht par karna tha
pahle suraj banate KHud ko tum
phir andheron pe war karna tha
gar hunar the tumhaare hathon mein
shoala ko aabshaar karna tha
baadalon se yahi gharaz thi hamein
apna saya farar karna tha
hijr mein jaan ganwane wale tujhe
aur kuchh intizar karna tha
shauq se hi lagaw tha hum ko
shauq hi darkinar karna tha
itni wusat ka kya karega wo
aasman ka bichaar karna tha
maut ki sochte rahe 'sarita'
zist ko yaadgar karna tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.