sar-phire karne lage hain jazb soz-e-dil ki baat
sar-phire karne lage hain jazb soz-e-dil ki baat
Nazish Partap Gadhi
MORE BYNazish Partap Gadhi
sar-phire karne lage haiñ jazb soz-e-dil kī baat
ab ḳhudā rakkhe to rakkhe aap kī mahfil kī baat
qāfile vaalo ab aao aur aage baḌh chaleñ
khā chuke rahbar kā dhokā jaan lī manzil kī baat
kitnī nafrat ho rahī hai sūrat-e-sāhil se ab
kitnī hasrat se kiyā karte the ham sāhil kī baat
ho ke barham uThne vaale haiñ vo saare tishna-lab
aa.ī hai hisse meñ jin ke sāqi-e-mahfil kī baat
ḳhud hī ab raushan kareñge apne ġham-ḳhāne ko ham
dekh lī taaro tumhārī sa.i-e-lā-hāsil kī baat
saare ammāl-e-hukūmat mujh se bad-zan ho ga.e
kar rahā thā ek din maiñ bismil-o-qātil kī baat
soch ai 'nāzish' na ho ye bhī farārī zehniyat
kar rahā hai ahd-e-hāzir meñ jo mustaqbil kī baat
sar-phire karne lage hain jazb soz-e-dil ki baat
ab KHuda rakkhe to rakkhe aap ki mahfil ki baat
qafile walo ab aao aur aage baDh chalen
kha chuke rahbar ka dhoka jaan li manzil ki baat
kitni nafrat ho rahi hai surat-e-sahil se ab
kitni hasrat se kiya karte the hum sahil ki baat
ho ke barham uThne wale hain wo sare tishna-lab
aai hai hisse mein jin ke saqi-e-mahfil ki baat
KHud hi ab raushan karenge apne gham-KHane ko hum
dekh li taro tumhaari sai-e-la-hasil ki baat
sare ammal-e-hukumat mujh se bad-zan ho gae
kar raha tha ek din main bismil-o-qatil ki baat
soch ai 'nazish' na ho ye bhi farari zehniyat
kar raha hai ahd-e-hazir mein jo mustaqbil ki baat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.