sar se bandhe kafan nikalta hun
sar se bāñdhe kafan nikaltā huuñ
god meñ maut kī maiñ paltā huuñ
rāsta har ghaḌī badaltā huuñ
maiñ nadī kī tarah machaltā huuñ
bhuul jaatā huuñ sab sitam un ke
ik tabassum se maiñ bahaltā huuñ
vo to milte nahīñ haiñ mil ke bhī
hijr kī aag meñ maiñ jaltā huuñ
tū hī hamrāh mere dar-parda
varna gir ke maiñ kyoñ sañbhaltā huuñ
chaal vo chal ga.e qayāmat kī
bekasī par maiñ haath miltā huuñ
dard se kah rahā hai ye nashtar
tū ab ārām kar maiñ chaltā huuñ
sar se bandhe kafan nikalta hun
god mein maut ki main palta hun
rasta har ghaDi badalta hun
main nadi ki tarah machalta hun
bhul jata hun sab sitam un ke
ek tabassum se main bahalta hun
wo to milte nahin hain mil ke bhi
hijr ki aag mein main jalta hun
tu hi hamrah mere dar-parda
warna gir ke main kyon sanbhalta hun
chaal wo chal gae qayamat ki
bekasi par main hath milta hun
dard se kah raha hai ye nashtar
tu ab aaram kar main chalta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.