sar se ek qatra KHun nahin nikla
sar se ik qatra ḳhuuñ nahīñ niklā
haañ abhī tak junūñ nahīñ niklā
aañkh tak aa ke ban gayā aañsū
dard-e-dil juuñ kā tuuñ nahīñ niklā
haa.e qismat tamām umr meñ bhī
ek pal pur-sukūñ nahīñ niklā
yuuñ tasallī mujhe vo detā hai
maiñ tire dil meñ huuñ nahīñ niklā
dard se jaañ nikal ga.ī lekin
tiir kā kyā karūñ nahīñ niklā
sar se ek qatra KHun nahin nikla
han abhi tak junun nahin nikla
aankh tak aa ke ban gaya aansu
dard-e-dil jun ka tun nahin nikla
hae qismat tamam umr mein bhi
ek pal pur-sukun nahin nikla
yun tasalli mujhe wo deta hai
main tere dil mein hun nahin nikla
dard se jaan nikal gai lekin
tir ka kya karun nahin nikla
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.