sar se panw talak hawa hun main
sar se paañv talak havā huuñ maiñ
chaltī phirtī huī ḳhalā huuñ maiñ
merā apnā koī vajūd nahīñ
ahd-e-māzī kā silsila huuñ maiñ
maiñ koī aur huuñ ki maiñ hī huuñ
soch meñ paḌ ga.ī huuñ kyā huuñ maiñ
ruknā chāhūñ to ek manzil huuñ
chalnā chāhūñ to rāsta huuñ maiñ
kaun sun pā.egā bhalā mujh ko
ik bahut duur kī sadā huuñ maiñ
miT chukī kab kī vo mirī hastī
ho chukā jo vo hādisa huuñ maiñ
soch kar dekhiye mirī vahshat
qaid huuñ but meñ aur ḳhudā huuñ maiñ
sar se panw talak hawa hun main
chalti phirti hui KHala hun main
mera apna koi wajud nahin
ahd-e-mazi ka silsila hun main
main koi aur hun ki main hi hun
soch mein paD gai hun kya hun main
rukna chahun to ek manzil hun
chalna chahun to rasta hun main
kaun sun paega bhala mujh ko
ek bahut dur ki sada hun main
miT chuki kab ki wo meri hasti
ho chuka jo wo hadisa hun main
soch kar dekhiye meri wahshat
qaid hun but mein aur KHuda hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.