sar se utre nahin phul manzil ki dhun ham-safar baat sun
sar se utre nahīñ phuul manzil kī dhun ham-safar baat sun
raah meñ ḳhaar aa.eñ to talvoñ se chun ham-safar baat sun
dhuup meñ to safar saḳht dushvār hai be-shajar raah kā
sar kī ḳhātir koī soch saaya hī bun ham-safar baat sun
rābta apnā zarḳhez miTTī se rakh aur sarsabz rah
khā gayā kitne sūkhe daraḳhtoñ ko ghun ham-safar baat sun
kuchh batā dil ki dillī se kis lucknow kī taraf jā baseñ
kaun bastī hai jis par barastā hai hun ham-safar baat sun
har qadam par amiir is tarah Thaharnā sochnā kis liye
vaqt chhalnī hai aur is meñ paanī na pun ham-safar baat sun
sar se utre nahin phul manzil ki dhun ham-safar baat sun
rah mein KHar aaen to talwon se chun ham-safar baat sun
dhup mein to safar saKHt dushwar hai be-shajar rah ka
sar ki KHatir koi soch saya hi bun ham-safar baat sun
rabta apna zarKHez miTTi se rakh aur sarsabz rah
kha gaya kitne sukhe daraKHton ko ghun ham-safar baat sun
kuchh bata dil ki dilli se kis lucknow ki taraf ja basen
kaun basti hai jis par barasta hai hun ham-safar baat sun
har qadam par amir is tarah Thaharna sochna kis liye
waqt chhalni hai aur is mein pani na pun ham-safar baat sun
- Book : Funoon (Monthly) (Pg. 575)
- Author : Ahmad Nadeem Qasmi
- Publication : 4 Maklood Road, Lahore (25Edition Nov. Dec. 1986)
- Edition : 25Edition Nov. Dec. 1986
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.