sar shewa-e-taslim mein is darja nigun hai
sar sheva-e-taslīm meñ is darja nigūñ hai
baaqī koī saudā hai na hī koī junūñ hai
ye shaam ke ruḳhsār pe phailī huī laalī
ik hasrat-e-kushta kī tamannāoñ kā ḳhuuñ hai
is ā.ina-ḳhāna meñ haqīqat na.iiñ khultī
ye kāvish-e-sad-shīsha-garāñ mahz fusūñ hai
ai dasht-e-balā-ḳhez tirā zo'm salāmat
sunte haiñ ki 'ushshāq kī me’rāj-e-junūñ hai
shorīda-sarī dekh kahāñ laa.ī hai ham ko
andoh-gīñ lamhoñ meñ hī ab dil ko sukūñ hai
ghere hai 'navāz' aap ko afsurdagī kyūñ-kar
har zarra to mushtāq-e-dam-e-kun-fayakūñ hai
sar shewa-e-taslim mein is darja nigun hai
baqi koi sauda hai na hi koi junun hai
ye sham ke ruKHsar pe phaili hui lali
ek hasrat-e-kushta ki tamannaon ka KHun hai
is aaina-KHana mein haqiqat nain khulti
ye kawish-e-sad-shisha-garan mahz fusun hai
ai dasht-e-bala-KHez tera zo'm salamat
sunte hain ki 'ushshaq ki me’raj-e-junun hai
shorida-sari dekh kahan lai hai hum ko
andoh-gin lamhon mein hi ab dil ko sukun hai
ghere hai 'nawaz' aap ko afsurdagi kyun-kar
har zarra to mushtaq-e-dam-e-kun-fayakun hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.