sar subuk-bari se koi dar pe KHam hone ko hai
sar subuk-bārī se koī dar pe ḳham hone ko hai
ḳhaak kā putlā hai zer-e-ḳhāk zam hone ko hai
ek sahrā jo namī kī jins se vāqif nahīñ
mere ashkoñ kī farāvānī se nam hone ko hai
āsmānoñ se sadā.eñ aa rahī haiñ dam-ba-dam
mo'jiza hone ko hai ab koī dam hone ko hai
'arsh mahv-e-yās hai aur kah rahā hai ik malak
qadd-e-ādam ghaT chukā hai aur kam hone ko hai
ik surōrī kaifiyat yaksar maza detī nahīñ
jo ḳhushī kal tak ḳhushī thī aaj ġham hone ko hai
kyā bahār-o-ḳhushk-sālī kyā 'urūj aur kyā zavāl
kal zamīn-o-āsmāñ mujh ko baham hone ko hai
kar diye mismār maiñ ne sab butān-e-āzarī
but-kada ab aan meñ misl-e-haram hone ko hai
matla'-e-hastī ġhubār-ālūd thā kyoñ saaf hai
dil mukarrar kah rahā chashm-e-karam hone ko hai
ik nazar us samt dekho hāl-e-duniyā jaan lo
āñkh-pyāla piir kā ab jām-e-jam hone ko hai
ai faqīhān-e-haram ai muftiyān-e-kaj-ravish
bul-havas jo kal thā ab vo mohtaram hone ko hai
sar subuk-bari se koi dar pe KHam hone ko hai
KHak ka putla hai zer-e-KHak zam hone ko hai
ek sahra jo nami ki jins se waqif nahin
mere ashkon ki farawani se nam hone ko hai
aasmanon se sadaen aa rahi hain dam-ba-dam
mo'jiza hone ko hai ab koi dam hone ko hai
'arsh mahw-e-yas hai aur kah raha hai ek malak
qadd-e-adam ghaT chuka hai aur kam hone ko hai
ek suroori kaifiyat yaksar maza deti nahin
jo KHushi kal tak KHushi thi aaj gham hone ko hai
kya bahaar-o-KHushk-sali kya 'uruj aur kya zawal
kal zamin-o-asman mujh ko baham hone ko hai
kar diye mismar main ne sab butan-e-azari
but-kada ab aan mein misl-e-haram hone ko hai
matla'-e-hasti ghubar-alud tha kyon saf hai
dil mukarrar kah raha chashm-e-karam hone ko hai
ek nazar us samt dekho haal-e-duniya jaan lo
aankh-pyala pir ka ab jam-e-jam hone ko hai
ai faqihan-e-haram ai muftiyan-e-kaj-rawish
bul-hawas jo kal tha ab wo mohtaram hone ko hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.