Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sar tere aastan pe jhukae hue hai hum

Yadgar Husain Nashtar Khairabadi

sar tere aastan pe jhukae hue hai hum

Yadgar Husain Nashtar Khairabadi

MORE BYYadgar Husain Nashtar Khairabadi

    sar tere āstāñ pe jhukā.e hue hai ham

    ya.anī farāz arsh pe chhā.e hue hai ham

    hāsil hameñ hai lutf-e-bahār-e-jamāl-e-dost

    mai-ḳhāna aaj sar pe uThā.e hue hai ham

    gum-karda rāh-e-ka.aba-o-but-ḳhāna se ab duur

    in manziloñ ḳhaak uḌaa.e hue haiñ ham

    aa shaiḳh mai-kade meñ terī āqibat ba-ḳhair

    rahmat ko botaloñ meñ chhupā.e hue haiñ ham

    'nashtar' tasavvur-e-ruḳh-e-tābāñ hai rāt-din

    ġham ko bahut hasīn banā.e hue haiñ ham

    sar tere aastan pe jhukae hue hai hum

    yani faraaz arsh pe chhae hue hai hum

    hasil hamein hai lutf-e-bahaar-e-jamal-e-dost

    mai-KHana aaj sar pe uThae hue hai hum

    gum-karda rah-e-kaba-o-but-KHana se ab dur

    in manzilon ki KHak uDae hue hain hum

    aa shaiKH mai-kade mein teri aaqibat ba-KHair

    rahmat ko botalon mein chhupae hue hain hum

    'nashtar' tasawwur-e-ruKH-e-taban hai raat-din

    gham ko bahut hasin banae hue hain hum

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now