sar uThaegi agar rasm-e-jafa mere baad
sar uThā.egī agar rasm-e-jafā mere baa'd
mujh ko DhūñDegā mirā dasht-e-anā mere baa'd
apnī āvāz kī sūrat meñ rahūñgā zinda
mere parcham ko uḌā.egī havā mere baa'd
apne kūche se chale jaane pe majbūr na kar
kis se pūchhegā koī terā pata mere baa'd
itnī ummīd to hai apne pisar se mujh ko
merī turbat pe jalā.egā diyā mere baa'd
'ishq duniyā pe 'ināyāt kiye jaatā hai
kis ko karne haiñ ye sab qarz adā mere baa'd
phuul sahrā meñ khilā.e haiñ 'munavvar' maiñ ne
taaki mahkī rahe kuchh der fazā mere baa'd
sar uThaegi agar rasm-e-jafa mere ba'd
mujh ko DhunDega mera dasht-e-ana mere ba'd
apni aawaz ki surat mein rahunga zinda
mere parcham ko uDaegi hawa mere ba'd
apne kuche se chale jaane pe majbur na kar
kis se puchhega koi tera pata mere ba'd
itni ummid to hai apne pisar se mujh ko
meri turbat pe jalaega diya mere ba'd
'ishq duniya pe 'inayat kiye jata hai
kis ko karne hain ye sab qarz ada mere ba'd
phul sahra mein khilae hain 'munawwar' main ne
taki mahki rahe kuchh der faza mere ba'd
- Book : Gazal ai Gazal (Kulliyat-e-Gazal) (Pg. 75)
- Author : Dr. Munawar Hashmi
- Publication : Duniya-e-Urdu Publications, Islam abad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.