sar uThaya to sar rahega kya
sar uThāyā to sar rahegā kyā
ḳhauf ye umr-bhar rahegā kyā
us ne zanjīr kar ke rakkhā hai
ham se vo be-ḳhabar rahegā kyā
paañv rahte nahīñ zamīñ pe tire
haath dastār par rahegā kyā
vo jo ik ḳhvāb ham ne dekhā thā
ḳhvāb hī umr-bhar rahegā kyā
mar rahe haiñ firāq meñ tere
tū hameñ maar kar rahegā kyā
ishq-e-ḳhāna-ḳharāb tere ba.ad
koī ābād ghar rahegā kyā
ham na hoñge to ye jahān-e-tilism
ye fareb-e-nazar rahegā kyā
terā apnā nahīñ tirā saayā
tere zer-e-asar rahegā kyā
mauj apnī jagah kinārā hai
ye kinārā magar rahegā kyā
Dūbnā thā jise vo Duub gayā
tū bhī ab Duub kar rahegā kyā
aaj kyā be-ufuq rahegī shaam
be-sitāra safar rahegā kiyā
dekh kar un parī-nizhādoñ ko
aa.ina ḳhud-nigar rahegā kyā
apne bas meñ rahegī kyā āñdhī
apne bal par shajar rahegā kyā
shahr meñ vo jidhar rahegā rasā
shahr saarā udhar rahegā kyā
sar uThaya to sar rahega kya
KHauf ye umr-bhar rahega kya
us ne zanjir kar ke rakkha hai
hum se wo be-KHabar rahega kya
panw rahte nahin zamin pe tere
hath dastar par rahega kya
wo jo ek KHwab hum ne dekha tha
KHwab hi umr-bhar rahega kya
mar rahe hain firaq mein tere
tu hamein mar kar rahega kya
ishq-e-KHana-KHarab tere baad
koi aabaad ghar rahega kya
hum na honge to ye jahan-e-tilism
ye fareb-e-nazar rahega kya
tera apna nahin tera saya
tere zer-e-asar rahega kya
mauj apni jagah kinara hai
ye kinara magar rahega kya
Dubna tha jise wo Dub gaya
tu bhi ab Dub kar rahega kya
aaj kya be-ufuq rahegi sham
be-sitara safar rahega kiya
dekh kar un pari-nizhadon ko
aaina KHud-nigar rahega kya
apne bas mein rahegi kya aandhi
apne bal par shajar rahega kya
shahr mein wo jidhar rahega rasa
shahr sara udhar rahega kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.