sara-e-dahr ka jalta makan chhoD gaya
sarā-e-dahr kā jaltā makān chhoḌ gayā
magar vo shaḳhs ki apnā nishān chhoḌ gayā
sukūn ke vo sabhī pal to le gayā hai magar
mire vajūd meñ apnī thakān chhoḌ gayā
bhañvar ke beach mire nāḳhudā ko kyā sūjhī
ki naav chhoḌ gayā bādbān chhoḌ gayā
qafas meñ thā to parinda chahaktā rahtā thā
magar falak pe vo apnī uḌaan chhoḌ gayā
kisī bhī shaḳhs ke jaane kā kyā gila kartā
balā kī dhuup meñ jab sā.ebān chhoḌ gayā
sara-e-dahr ka jalta makan chhoD gaya
magar wo shaKHs ki apna nishan chhoD gaya
sukun ke wo sabhi pal to le gaya hai magar
mere wajud mein apni thakan chhoD gaya
bhanwar ke beach mere naKHuda ko kya sujhi
ki naw chhoD gaya baadban chhoD gaya
qafas mein tha to parinda chahakta rahta tha
magar falak pe wo apni uDan chhoD gaya
kisi bhi shaKHs ke jaane ka kya gila karta
bala ki dhup mein jab saeban chhoD gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.