sarab-e-shab bhi hai KHwab-e-shikasta-pa bhi hai
sarāb-e-shab bhī hai ḳhvāb-e-shikasta-pā bhī hai
ki niiñd māñgte rahne kī kuchh sazā bhī hai
tamām umr chunūñgī maiñ reza reza tujhe
pas-e-ġhubār-e-nigah ek ā.īna bhī hai
supurd-e-raqs kiyā maiñ ne har tamannā ko
lahū ke shor kī ab koī intihā bhī hai
maiñ kyuuñ na ek hī qatre se sair ho jā.ūñ
kisī kī pyaas ko dariyā kabhī milā bhī hai
miyān-e-rāh kaḌī dhuup meñ na chhoḌ mujhe
batā to de ki kahīñ ghar kā rāsta bhī hai
maiñ is charāġh ko dushman kī saf meñ kyuuñ rakhkhūñ
ye mere naam pe kuchh der ko jalā bhī hai
hazār lazzat-e-ḳhāmosh ke nashe meñ ho dil
suḳhan ke naam pe kuchh harf māñgtā bhī hai
mire ḳhilāf gavāhoñ kī kuchh kamī bhī nahīñ
magar har ek mire haq meñ boltā bhī hai
simaT ke rah ga.e dīvār-e-shahr-e-ḳhauf meñ log
kise ḳhabar ho ki zinda koī bachā bhī hai
hujūm-e-tishna-labāñ kā surāġh de mujh ko
virāsatoñ meñ mirī dasht-e-karbalā bhī hai
sarab-e-shab bhi hai KHwab-e-shikasta-pa bhi hai
ki nind mangte rahne ki kuchh saza bhi hai
tamam umr chunungi main reza reza tujhe
pas-e-ghubar-e-nigah ek aaina bhi hai
supurd-e-raqs kiya main ne har tamanna ko
lahu ke shor ki ab koi intiha bhi hai
main kyun na ek hi qatre se sair ho jaun
kisi ki pyas ko dariya kabhi mila bhi hai
miyan-e-rah kaDi dhup mein na chhoD mujhe
bata to de ki kahin ghar ka rasta bhi hai
main is charagh ko dushman ki saf mein kyun rakhkhun
ye mere nam pe kuchh der ko jala bhi hai
hazar lazzat-e-KHamosh ke nashe mein ho dil
suKHan ke nam pe kuchh harf mangta bhi hai
mere KHilaf gawahon ki kuchh kami bhi nahin
magar har ek mere haq mein bolta bhi hai
simaT ke rah gae diwar-e-shahr-e-KHauf mein log
kise KHabar ho ki zinda koi bacha bhi hai
hujum-e-tishna-laban ka suragh de mujh ko
wirasaton mein meri dasht-e-karbala bhi hai
- Book : Range-e-Gazal (Pg. 244)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.