sarab-e-zoam mein tha aasman pakaDte hue
sarāb-e-zo.am meñ thā āsmāñ pakaḌte hue
zamīñ pe tifl girā hai dhuāñ pakaḌte hue
saroñ pe taan ga.ī dhuup phir se tez huā
ravā-ravī meñ ka.ī sā.ebāñ pakaḌte hue
farāz-e-arsh se ik TūTte sitāre ne
kiyā ġhubār mujhe kahkashāñ pakaḌte hue
hadaf-shanās huā to ye vāqi.a bhī huā
vo tiir toḌ rahā thā kamāñ pakaḌte hue
koī to rañg hai mauj-e-sarāb meñ bhī ki maiñ
yaqīn chhoḌ rahā huuñ gumāñ pakaḌte hue
ba-zo.am-e-nāz kū-e-be-kasī meñ aa pahuñchā
ba-sad niyāz dar-e-dostāñ pakaḌte hue
junūn-e-shauq meñ kāñTe bhī phuul lagne lage
maiñ zaḳhm zaḳhm huā titliyāñ pakaḌte hue
ab is madad se to achchhā hai Duub jā.ūñ maiñ
vo Dar rahā hai mirī uñgliyāñ pakaḌte hue
gilās toḌā gayā jis adā se is dil kā
mujhe ġhurūr sā hai kirchiyāñ pakaḌte hue
sarab-e-zoam mein tha aasman pakaDte hue
zamin pe tifl gira hai dhuan pakaDte hue
saron pe tan gai dhup phir se tez hua
rawa-rawi mein kai saeban pakaDte hue
faraaz-e-arsh se ek TuTte sitare ne
kiya ghubar mujhe kahkashan pakaDte hue
hadaf-shanas hua to ye waqia bhi hua
wo tir toD raha tha kaman pakaDte hue
koi to rang hai mauj-e-sarab mein bhi ki main
yaqin chhoD raha hun guman pakaDte hue
ba-zoam-e-naz ku-e-be-kasi mein aa pahuncha
ba-sad niyaz dar-e-dostan pakaDte hue
junun-e-shauq mein kanTe bhi phul lagne lage
main zaKHm zaKHm hua titliyan pakaDte hue
ab is madad se to achchha hai Dub jaun main
wo Dar raha hai meri ungliyan pakaDte hue
gilas toDa gaya jis ada se is dil ka
mujhe ghurur sa hai kirchiyan pakaDte hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.