sarab jaan ke roya ki be-sabab to nahin
sarāb jaan ke royā ki be-sabab to nahīñ
nazar ke sāmne sahrā-e-kam-talab to nahīñ
darūn-e-jāñ hai bas ik bāzgasht-e-āh-o-fuġhāñ
nasīb sang-sifat naġhma-o-tarab to nahīñ
gulāb-shakl shagāfoñ kī dil-dahī hai abas
nasīm-e-sub.h ye hangām-e-shab-do-shab to nahīñ
adāvatoñ kā karam hai ki aaj zinda huuñ
vagarna shauq meñ jiinā yuuñ jāñ-ba-lab to nahīñ
sahar-tarāz sī lagne lagī hai shām-e-ġham
charāġh-e-dāġh-e-tamannā ho kuchh ajab to nahīñ
ba-juz qayās yaqīñ kī asaas thī bhī kyā
so kuchh gumāñ hī haqīqat haiñ aaj sab to nahīñ
na DhūñD ham ko ki ham haiñ sadā-e-gum-gashta
faqat sukūt haiñ naala nahīñ shaġhab to nahīñ
le Thīk-Thāk sī maiñ ne bhī kaaT dī duniyā
ye aur baat ki jiine kā koī Dhab to nahīñ
mujhe bhī yāroñ ne tujh se judā nahīñ samjhā
mire mizāj pe maanā ki terī chhab to nahīñ
butoñ ke ishq meñ momin kī kaT ga.ī to kyā
miyāñ ye hind hai fāras nahīñ arab to nahīñ
sitam ke sāmne sar kā jhukānā nā-mumkin
kabhī kī baat thī ab chhoḌiye ki ab to nahīñ
samajhiye yuuñ to mujhe apnā banda-e-be-dām
anā pe harf jo aane lage to tab to nahīñ
mire nivāloñ ko apnī atā na gardāneñ
huzūr shaah haiñ haañ māntā huuñ rab to nahīñ
ye kaun hai jo girāñ-bār hai samā.at par
ḳhabar to le kahīñ 'tanvīr'-e-be-adab to nahīñ
ḳhudā kī maar hai 'vasfī' sañbhal sake to sañbhal
hai jā-e-shukr abhī manzil-e-ġhazab to nahīñ
sarab jaan ke roya ki be-sabab to nahin
nazar ke samne sahra-e-kam-talab to nahin
darun-e-jaan hai bas ek bazgasht-e-ah-o-fughan
nasib sang-sifat naghma-o-tarab to nahin
gulab-shakl shagafon ki dil-dahi hai abas
nasim-e-subh ye hangam-e-shab-do-shab to nahin
adawaton ka karam hai ki aaj zinda hun
wagarna shauq mein jina yun jaan-ba-lab to nahin
sahar-taraaz si lagne lagi hai sham-e-gham
charagh-e-dagh-e-tamanna ho kuchh ajab to nahin
ba-juz qayas yaqin ki asas thi bhi kya
so kuchh guman hi haqiqat hain aaj sab to nahin
na DhunD hum ko ki hum hain sada-e-gum-gashta
faqat sukut hain nala nahin shaghab to nahin
le Thik-Thak si main ne bhi kaT di duniya
ye aur baat ki jine ka koi Dhab to nahin
mujhe bhi yaron ne tujh se juda nahin samjha
mere mizaj pe mana ki teri chhab to nahin
buton ke ishq mein momin ki kaT gai to kya
miyan ye hind hai faras nahin arab to nahin
sitam ke samne sar ka jhukana na-mumkin
kabhi ki baat thi ab chhoDiye ki ab to nahin
samajhiye yun to mujhe apna banda-e-be-dam
ana pe harf jo aane lage to tab to nahin
mere niwalon ko apni ata na gardanen
huzur shah hain han manta hun rab to nahin
ye kaun hai jo giran-bar hai samaat par
KHabar to le kahin 'tanwir'-e-be-adab to nahin
KHuda ki mar hai 'wasfi' sanbhal sake to sanbhal
hai ja-e-shukr abhi manzil-e-ghazab to nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.