sarapa bagh tu ai gul-badan hai
sarāpā baaġh tū ai gul-badan hai
sanobar-qad hai aur ġhuncha-dahan hai
javāhir-ḳhāna us but kā dahan hai
guhar dandāñ haiñ lab la.al-e-yaman hai
agar yūñhī rahī soz-e-mohabbat
to ik din ḳhaak apnā qasr-e-tan hai
nahīñ dil gesū-e-shab-gūñ meñ tere
sitamgar saañp ke muñh meñ ye man hai
vo sīdhī baat bhī karte nahīñ ab
nahīñ ma.alūm ye kyā bāñkpan hai
mirī taqdīr kā chakkar hai ye bhī
tujhe gardish jo ai charḳh-e-kuhan hai
do-rangī-e-falak is se hai sābit
koī giryāñ hai koī ḳhanda-zan hai
tamannā-e-shahādat kyā bar aa.e
mirā qātil but-e-nāzuk-badan hai
vo ka.abe meñ bhī hai but-ḳhāne meñ bhī
muqarrar har jagah jalva-fagan hai
bharosa us ke qaul-o-fe.al kā kyā
vo but be-mehr hai va.ada-shikan hai
parī-rūoñ ko dil dete ho 'sābir'
ye nādānī hai ye dīvāna-pan hai
sarapa bagh tu ai gul-badan hai
sanobar-qad hai aur ghuncha-dahan hai
jawahir-KHana us but ka dahan hai
guhar dandan hain lab lal-e-yaman hai
agar yunhi rahi soz-e-mohabbat
to ek din KHak apna qasr-e-tan hai
nahin dil gesu-e-shab-gun mein tere
sitamgar sanp ke munh mein ye man hai
wo sidhi baat bhi karte nahin ab
nahin malum ye kya bankpan hai
meri taqdir ka chakkar hai ye bhi
tujhe gardish jo ai charKH-e-kuhan hai
do-rangi-e-falak is se hai sabit
koi giryan hai koi KHanda-zan hai
tamanna-e-shahadat kya bar aae
mera qatil but-e-nazuk-badan hai
wo kabe mein bhi hai but-KHane mein bhi
muqarrar har jagah jalwa-fagan hai
bharosa us ke qaul-o-feal ka kya
wo but be-mehr hai wada-shikan hai
pari-ruon ko dil dete ho 'sabir'
ye nadani hai ye diwana-pan hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.