sarapa chashm-e-pur-nam ban gae hain
sarāpā chashm-e-pur-nam ban ga.e haiñ
gunahgāroñ se aadam ban ga.e haiñ
mu'allaq the jo mustaqbil meñ lamhe
vo ab taqdīr-e-mubram ban ga.e haiñ
mohabbat ke qadam jin par paḌe the
vo patthar āb-e-zamzam ban ga.e haiñ
kamāl-e-vasl the jo chand lamhe
abhī ik ḳhvāb-e-mub.ham ban ga.e haiñ
tumhāre lams meñ jaadū hai kaisā
hamāre zaḳhm marham ban ga.e haiñ
sar-e-taslīm ḳham jab kar liyā hai
jo chāhā aap ne ham ban ga.e haiñ
hamāre chāk-e-dāman se 'hidāyat'
junūñ ke laakh parcham ban ga.e haiñ
sarapa chashm-e-pur-nam ban gae hain
gunahgaron se aadam ban gae hain
mu'allaq the jo mustaqbil mein lamhe
wo ab taqdir-e-mubram ban gae hain
mohabbat ke qadam jin par paDe the
wo patthar aab-e-zamzam ban gae hain
kamal-e-wasl the jo chand lamhe
abhi ek KHwab-e-mubham ban gae hain
tumhaare lams mein jadu hai kaisa
hamare zaKHm marham ban gae hain
sar-e-taslim KHam jab kar liya hai
jo chaha aap ne hum ban gae hain
hamare chaak-e-daman se 'hidayat'
junun ke lakh parcham ban gae hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.