sarasar KHajlat-o-sharmindagi hai
sarāsar ḳhajlat-o-sharmindagī hai
hamārī bhī bhalā kyā zindagī hai
sadā koī rahā hai ne rahegā
usī kī zaat ko pā.indagī hai
ḳhayāl-e-ḳhūb-rūyāñ kyūñke chhoTe
tabī.at meñ mirī ḳhvāhindagī hai
nazar apnī bhī vaañ jā hī paḌe hai
jahāñ ārā.ish o zebandagī hai
ġhazal-ḳhvānī kar ab ai 'mus.hafī' tark
huā qad ḳham ye vaqt-e-bandagī hai
sarasar KHajlat-o-sharmindagi hai
hamari bhi bhala kya zindagi hai
sada koi raha hai ne rahega
usi ki zat ko paindagi hai
KHayal-e-KHub-ruyan kyunke chhoTe
tabiat mein meri KHwahindagi hai
nazar apni bhi wan ja hi paDe hai
jahan aaraish o zebandagi hai
ghazal-KHwani kar ab ai 'mushafi' tark
hua qad KHam ye waqt-e-bandagi hai
- Book : kulliyat-e-mas.hafii(Vol-4)(pdf) (Pg. 269)
- Author : Ghulam hamdani Mashafi
- Publication : Qaumi council baraye -farogh urdu (2005)
- Edition : 2005
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.