sarasar un ko gulistan-e-arzu kahiye
sarāsar un ko gulistān-e-ārzū kahiye
rukeñ to rañg samjhiye chaleñ to bū kahiye
hamārī tishnagī-e-shauq kī hai baat kuchh aur
ye vo nahīñ jise daurān-e-guftugū kahiye
mujhe shikast kā ilzām bhī qubūl magar
muqābil aa.iye barbād-e-justujū kahiye
savāl-e-shauq kā aksar javāb bantī hai
tirī nazar kī ḳhamoshī ko guftugū kahiye
hamārī tishna-labī ko na kar sakī sairāb
vo guftugū kī ravānī ki āb-jū kahiye
har inqalāb kī lahar apne mai-kade meñ hai
kise sharāb samajhiye kise lahū kahiye
chaman-badosh hai har vādī-e-nazar 'nāzish'
merī hayāt ko kashmīr-e-ārzū kahiye
sarasar un ko gulistan-e-arzu kahiye
ruken to rang samjhiye chalen to bu kahiye
hamari tishnagi-e-shauq ki hai baat kuchh aur
ye wo nahin jise dauran-e-guftugu kahiye
mujhe shikast ka ilzam bhi qubul magar
muqabil aaiye barbaad-e-justuju kahiye
sawal-e-shauq ka aksar jawab banti hai
teri nazar ki KHamoshi ko guftugu kahiye
hamari tishna-labi ko na kar saki sairab
wo guftugu ki rawani ki aab-ju kahiye
har inqalab ki lahar apne mai-kade mein hai
kise sharab samajhiye kise lahu kahiye
chaman-badosh hai har wadi-e-nazar 'nazish'
meri hayat ko kashmir-e-arzu kahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.