sarak rahi hai uski chilman masha-allah masha-allah
sarak rahī hai us kī chilman māshā-allāh māshā-allāh
shāyad ab vo degā darshan māshā-allāh māshā-allāh
garaj rahā hai bādal ghan-ghan māshā-allāh māshā-allāh
bajtī hai us kī paa.el jhan-jhan māshā-allāh māshā-allāh
baras rahā hai pyaar kā sāvan māshā-allāh māshā-allāh
Dol rahā hai jis se tan-man māshā-allāh māshā-allāh
chaltā phirtā hai mai-ḳhāna jis kī ye chashm-e-masatāna
us kī surāhī-dār hai gardan māshā-allāh māshā-allāh
apne hī husn pe jaise ho shaidā dekh rahā hai jalva-e-zebā
sāmne rakh kar apne darpan māshā-allāh māshā-allāh
mor kā raqs use nahīñ bhātā apnī chaal pe hai itrātā
naach na jaane TeḌhā āñgan māshā-allāh māshā-allāh
ġhuncha-o-gul kī hai ye zabāñ par sab hī fidā us sarv-e-ravāñ par
zikr hai us kā gulshan gulshan māshā-allāh māshā-allāh
'barqī' hai jis kā dīvāna ho ke fidā misl-e-parvāna
maar na Daale us kī chitvan māshā-allāh māshā-allāh
sarak rahi hai us ki chilman masha-allah masha-allah
shayad ab wo dega darshan masha-allah masha-allah
garaj raha hai baadal ghan-ghan masha-allah masha-allah
bajti hai us ki pael jhan-jhan masha-allah masha-allah
baras raha hai pyar ka sawan masha-allah masha-allah
Dol raha hai jis se tan-man masha-allah masha-allah
chalta phirta hai mai-KHana jis ki ye chashm-e-masatana
us ki surahi-dar hai gardan masha-allah masha-allah
apne hi husn pe jaise ho shaida dekh raha hai jalwa-e-zeba
samne rakh kar apne darpan masha-allah masha-allah
mor ka raqs use nahin bhata apni chaal pe hai itraata
nach na jaane TeDha aangan masha-allah masha-allah
ghuncha-o-gul ki hai ye zaban par sab hi fida us sarw-e-rawan par
zikr hai us ka gulshan gulshan masha-allah masha-allah
'barqi' hai jis ka diwana ho ke fida misl-e-parwana
mar na Dale us ki chitwan masha-allah masha-allah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.