sard aurat se milan ka sadhan
sard aurat se milan kā sādhan
apnā apmān hai kirishnā 'mohan'
ruup matla’ ko diyā maqta’ kā
kitnī ma.akūs hai ye tarz-e-suḳhan
is kā sab zahr piyā hai maiñ ne
merā chintan ki hai amrit manthan
phuul chunñe ke liye nikle the
ḳhaar hī paa.e haiñ gulshan gulshan
dostī apnī hai ranj-o-ġham se
aur ḳhushiyoñ se rahī hai an-ban
dil ko sulgātā rahā hai barsoñ
mere ashkoñ kā sulagtā sāvan
go nazar aatā hai chehra be-dāġh
sach nahīñ boltā dhuñdlā darpan
mere afkār meñ kuchh sañbhlā hai
ārzūoñ kā machaltā joban
sochtā man hai chitā chintā kī
ho gayā ek maran ab jīvan
man kī shaktī hai saperan jis se
kheltī rahtī hai chintā sāñpan
sard aurat se milan ka sadhan
apna apman hai kirishna 'mohan'
rup matla’ ko diya maqta’ ka
kitni makus hai ye tarz-e-suKHan
is ka sab zahr piya hai main ne
mera chintan ki hai amrit manthan
phul chunne ke liye nikle the
KHar hi pae hain gulshan gulshan
dosti apni hai ranj-o-gham se
aur KHushiyon se rahi hai an-ban
dil ko sulgata raha hai barson
mere ashkon ka sulagta sawan
go nazar aata hai chehra be-dagh
sach nahin bolta dhundla darpan
mere afkar mein kuchh sanbhla hai
aarzuon ka machalta joban
sochta man hai chita chinta ki
ho gaya ek maran ab jiwan
man ki shakti hai saperan jis se
khelti rahti hai chinta sanpan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.