sard mausam ki KHata thi na zamane ki thi
sard mausam ki KHata thi na zamane ki thi
Vinod Kumar Tripathi Bashar
MORE BYVinod Kumar Tripathi Bashar
sard mausam kī ḳhatā thī na zamāne kī thī
sham.a ko jis ne bujhāyā vo havā merī thī
imtihāñ roz liyā kartā hai merā ab vo
āzmāne kī kabhī jis se guzārish kī thī
kar chukā thā maiñ samundar se kinārā kab kā
jis jagah Duubā thā maiñ kahte haiñ sāhil kī thī
hijr-o-qurbat ke bane itne fasāne kaise
chāñdnī chhat pe mirī itnī kahāñ bikhrī thī
kyuuñ tapish mujh meñ hai kyuuñ jism siyah hotā hai
rahguzar meñ to mire dhuup kahāñ utrī thī
ab koī ḳhvāb na āñkhoñ meñ tasavvur hai 'bashar'
varna āñkhoñ meñ mirī niiñd kahāñ rahtī thī
sard mausam ki KHata thi na zamane ki thi
shama ko jis ne bujhaya wo hawa meri thi
imtihan roz liya karta hai mera ab wo
aazmane ki kabhi jis se guzarish ki thi
kar chuka tha main samundar se kinara kab ka
jis jagah Duba tha main kahte hain sahil ki thi
hijr-o-qurbat ke bane itne fasane kaise
chandni chhat pe meri itni kahan bikhri thi
kyun tapish mujh mein hai kyun jism siyah hota hai
rahguzar mein to mere dhup kahan utri thi
ab koi KHwab na aankhon mein tasawwur hai 'bashar'
warna aankhon mein meri nind kahan rahti thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.