sard rahon mein bhaTakti hui shamon ki tarah
sard rāhoñ meñ bhaTaktī huī shāmoñ kī tarah
maiñ tire saath chalī aa.ī huuñ rastoñ kī tarah
bas yahī dekh ke tajdīd-e-mohabbat kar lī
ro paḌā thā vo mire sāmne bachchoñ kī tarah
ghar udāsī ne paḌāv hai kiyā muddat se
ḳhvāb kamroñ meñ sajā rakkhe haiñ katboñ kī tarah
bāġh-e-hijrāñ kī bahāroñ ke bhī sub.hān-allāh
zaḳhm phūloñ kī tarah phuul haiñ zaḳhmoñ kī tarah
likh rahī huuñ tire māthe pe koī 'mīr' kā sher
paḌh rahī huuñ tirī āñkhoñ ko sahīfoñ kī tarah
vo mujhe chhoḌ gayā hijr musalle par raat
maiñ adā kartī rahī jis ko namāzoñ kī tarah
maut se rishta mirā maañ kī tarah hai 'sādī'
zindagī lagtī hai mujh ko sagī bahnoñ kī tarah
sard rahon mein bhaTakti hui shamon ki tarah
main tere sath chali aai hun raston ki tarah
bas yahi dekh ke tajdid-e-mohabbat kar li
ro paDa tha wo mere samne bachchon ki tarah
ghar udasi ne paDaw hai kiya muddat se
KHwab kamron mein saja rakkhe hain katbon ki tarah
bagh-e-hijran ki bahaaron ke bhi subhan-allah
zaKHm phulon ki tarah phul hain zaKHmon ki tarah
likh rahi hun tere mathe pe koi 'mir' ka sher
paDh rahi hun teri aankhon ko sahifon ki tarah
wo mujhe chhoD gaya hijr musalle par raat
main ada karti rahi jis ko namazon ki tarah
maut se rishta mera man ki tarah hai 'sadi'
zindagi lagti hai mujh ko sagi bahnon ki tarah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.